Thursday, December 22, 2011

Lata's Poems

I have often dashed off a few lines when I am experiencing something or when I step into someone's shoes and see things differently. To be someone else for a moment, to get under the skin of another, to feel the texture of life in another way is possible only when I am empathetic....am putting down some of my jottings, just to share with you...

CHAAHAT

Kabhi aisi duuriyaan pehle na thi,


Humaari chaahat mein itni gehree

Berukhi bhi na thi...

Baith kar aap ke itne kareeb bhi,

Itni tanhaa main kabhi na thi...

Na aap ka sawaal zubaan par aaya,

Na maine jawaab lafzon main diya,

Kisi se ghuftagoo karte aapne mujhe

Kaee an-kahee baatein samjhaa to di...


Kabhi aisi duuriyaan pehle to na thi,

Kabhi aisi nazdeekiyaan pehle to na thi.


Jan 10, 2012

Kuch bhi to nahin...

Lata Jagtiani

Ab koi intezaar ki haar bhi nahin,
Shikwe jo the, ab woh bhi nahin.

Aap ko bhoolne ki koshish bhi nahin,
Bahaane naaraazgi ke, ab woh bhi nahin.

Ikraar-e-mohabbat aap ka bhi nahin,
Raaste mein patthar, ab main bhi nahin.

Ab koi gilae, ya ghum bhi nahin,
Aangan mein sookhe pattey kum bhi nahin...

Dec 21, 2011

---
Naam mein kya Rakha Hai

Us naam mein kya kya likha hai,
Us muskaan ne kya kya maangaa hai,
Un aankhon ko dekhke main pigghal gayee,
Main jo barf hoon,
Kisi ki baaton mein aati nahin....
Dec 21, 2011

---
Milne se kya haasil hota hai,
Ye jism ki baatein nahin...
Waqt se unhein bhool jaate hain,
Jinhein andaaz hain, mohabbat nahin...

Dec 19, 2011
----

Unke khatt padh kar aap ko yaad kiya,
Agar aap kuch likhte to aise hi likhte,
"Kya tumhein main yaad aata hoon,
Mera to burra haal hai ajnabi sheher mein,
Main har raaste se chalte ye hi sochta hoon,
Kaash tumhaara ghar aa jaaye,
Kaash tum us darwaaze se nikal aati,
Aur hanske aankhon se pilaati,
Kya tum bhi mujhe aise yaad karti ho,
Ya mera intezaar karna bhool chuki ho...?"
Unkne khatt mein aap ke nishaan hain,
Shayad pyaar karnewaalon ki ek hi zubaan hai.

Dec 15, 2011----(bahut aaye, bahut gaye, pyaar koi naya ehsaas nahin...chehre badalte hain, ehsaas wohi hota hai...)


---
My Song Little Long


My lake
My tree
My mayna
My sea
My sky
My eye
My fruit
Solitude
My smile
My time
My friend
My pen
My book
My luv
My cloud
My doubt
My breeze
My sheets
My drink
My think
My bed
My quilt
My touch
My song
My poem
Little long...

Nov 17, 2011.

---
A friend wrote...

Dear Full Moon, I'll make you a deal. You let me sleep tomorrow night and I won't shoot you!!
I wrote a poem in response to it...

CHAAND KA DOSH

LATA JAGTIANI

chhand ko dosh mat do,
wo to tumhaara pyaar hai,
Sone kaise dega,
tumhaara kab se intezaar hai...
Translated it means, dont blame the moon,
its yr love, how can he let u sleep
hes been waiting for you for so long...

October 12, 2011

---

Dheeme se...

Lata Jagtiani

In dinon itne saare laal phool shaakhon se girte hain
Raaste se guzarna mushkil hi ho gaya hai...
Bachke bachaake, jab main aagey badhti hoon,
Mere paer taley dabne se jo dheemi aawaz aati hai,
Kahin se yaad aa jaata hai,
Kabhi main bhi aise dheeme se roti thi,
Kabhi main bhi shaakh se giri thi...

October 1, 2011

---

Jo darwaaza kabhi na khulna tha,
wahin pe nigahein bichaatey rahey,
Berukhi se dekha unhi ko,
Humse wafaa jo kartey rahey...

Lata Jagtiani
September 28, 2011

---

SOMEHOW

Lata Jagtiani
Somehow, God finds a way in...
Somehow even if you close
All the doors, windows,
The sun gets in thru a crack...
Somehow, even under an umbrella,
And inside a raincoat,
A drop here or there
Glides in, touches your skin.

September 23, 2011 at 5:03pm

---

THE ROBOT

White at funerals,
Black in bars,
Tea at four,
Biscuits, bun,
I'm a digitised robot
Doing what's done.
1999

---

There's the wish
But the will...
There's the love
But the care...
There's the self
But the ego...
There's the truth
But then existence...
There's nature
But then science...
There's innocence
But then cleverneness...
There' the sky
But then the earth...
There's so much
More to choice..
Than to love
Or be loved.
September 19, 2011 at 5:55pm
---
JUST A FEELING

It was just a feeling
Nothing more,
Just something I felt.

I remember
Her face, so soft,
When the piano played...
Her tears
When the rain came...
Her fragrance
When I drink..
Her kiss
When I want to forget.

September 19, 2011 at 4:24pm
  • ---

AAJ BOONDEIN


Aaj boondein aasman se giri
Aaj baarish mein tum yaad aaye...
Tumhaari baahein mere baalon ko simmat kar
Mere badan ko dheeme se choo kar,
Ruk gayee....ek khayal....
Ek khayal tumhaare man mein aake ruk gaya,
Maine aankhein jhukaake
Dil ki dhadkan ko dheemi karni chaahee,
Lekin na tum samjhe
Na main samjhi
Shayad ye sirf baarish se hai...
Shaayad, shaayad, ye uljhan ek ehsaas hai,
Aur kuch nahin...
Baarish mein hum dono
Kuch pal dheeme se
Jannat dekhne se ruk gaye....


July 23, 2011
---