Monday, February 6, 2012

Nazraana

Nazraana

Meri muskuraati aankhon mein dekh kar

Aap ke labh par ek geet ruk gaya aa kar

Ussey to sirf maine suna tha ek din

Yaad hai hum dono ko wo bahaaron ke din

Wo kavita aap ki pyaari thi, |

Pyaari thi lekin tooti huee,

Usmein dilse likha tha aapne,

Aise pyaale hain tumhaari aankhein

Jin mein main jaata hoon zinda hone,

Aur aise tabaa hota jaata hoon,

Jaise maut ka darr bhool jaata hoon...

Haan, yaad hai woh mausam, wo junoon,

Meri aankhein hameshase hain aapka guroor,

Samajhti hoon nazar se nazraane aapke,

Pyaar mein to itna samjhaaya hain aapne...

Lata Jagtiani

3/2/2012


----

Tum pichaa karte rahe naazuk baadal ka,

Zameen tumhein dekhti rahi, sannata tha,

Uper dekhte dekhte gir pade, chott aaye tumhein,

Jhuk kar zameen se maati li, khoon thamaa diya tumne,

Uth chaley phir tum safed baadal ke peeche,

Zameen tumhein dekhti rahi, sannata tha...

Lata Jagtiani

Feb 2, 2012

===

Subah phir se aa gayi,

Roshni apni bichaa gayi,

Kahin pinjre mein tota gaane laga,

Bund kamre mein phool kahin khilne lagaa...

Koi wafaa ko chhod jaane laga...

Koi apni maut se milne chala...

Maine phir wohi shuruaat ki,

Koshish tumhein samajhne ki saari ki,

Tumhare bewajaa jaane ke sawaal poochti gayi,

Subah chai peete-peete puraane aansoo peeti gayi.

Lata Jagtiani

Feb 2, 2012

---

Baahon mein aake jab tumhaari ho gayee,

Patta nahin kyun mujhe bahut ronaa aaya...

Ek khayaal khauf ka aaya aise

Ek ehsaas dukh ka hota jaise,

Socha kya ho agar ye pal phir na aaye,

Aise lagaa ke main maut ke saamne khadi,

Tumhaari baahon mein dheeme se rett bunti gayee.

Lata Jagtiani

Jan 15, 2012

----

Kabhi aisi duuriyaan pehle na thi,

Aisi bebasee, aisi berukhee na thi,

Aap ke itne paas baith kar bhi,

Itni tanhaayee pehle na thi...


Baaton baaton mein aapne

Kayee an-kahee baatein keh to di,

Jo sawaal aapne poochey na they,

Jawaab unke main kaise dene lagee...


Kaanon mein dono ke lekin

Aap ke sawaal,

Aur mere jawaab,

goonjte rahey,

Kabhi aisi duuriyaan pehle to na thi,

Kabhi aisi nazdeekiyaan pehle to na thi...

Lata Jagtiani

Jan 11, 2012

---

Shuruaat humne bahut dil se ki hai,

Aap ko pyaar se bulaaya bhi hai,

Aap ke pasand ke jhumke pehne hain,

Paayal chaandi ki bhi baand rakhi hain,

Koshish to har tarah se zaari hai,

Ho sakta hai meri nahin to kaanon tak

Inhi ki aawaaz aap ko pahunch jaaye

Bataa hi de aap ko,

is thand ke mausam mein,

Koi aap ke liye aas ke diye jalaaye baitha hai...

Jan 8, 2012

---
Kavita likhne ki aadat hai,

muskuraane ki bhi aadat hai,

kabhi meri muskaan mein kavita hai,

aur kabhi meri kavita mein muskaan!!

Jan 8, 2012

---
Ghamon ke saath itna puraana rishta hai,

Ke unhein main pehchaanti hoon doston ki tarah,

Sukoon to humara raasta hi bhool gaye hain, saheb,

Humse woh pardesi duur rahein

to zamaane se koi shikayat bhi na hogi...

Jna 8, 2012

---
Kuch bhi to nahin...

Lata Jagtiani

Ab koi intezaar bhi nahin,

Shikwe the, woh ab nahin,

Aap ko bhoolne ki koshish bhi nahin,

Aap ke raaste mein main bhi nahin,

Ikraar pyaar ka aap ka bhi nahin,

Naaraazgi ke mere bahaane bhi nahin,

Ab mujhe koi ghum nahin,

Mere paas sookhey patton ki koi kammi nahin...

Dec 21, 2012

---
2nd version of the same poem:
Kuch bhi to nahin...

Lata Jagtiani

Ab koi intezaar ki haar bhi nahin,
Shikwe jo the, ab woh bhi nahin.

Aap ko bhoolne ki koshish bhi nahin,
Bahaane naaraazgi ke, ab woh bhi nahin.

Ikraar-e-mohabbat aap ka bhi nahin,
Raaste mein patthar, ab main bhi nahin.

Ab koi gilae, ya ghum bhi nahin,
Aangan mein sookhe pattey kum bhi nahin...