Tuesday, September 4, 2012

Aug-Sep 2012

Poems Aug-Sep 2012
Lata Jagtiani

Woh ruk bhi jaayen to kya khaakh mil jaata hai
Jab unke khayaalon mein to gaer rehta hai
Raat-bhar woh unhein yaad karte rahen
Humen unke aansoo nazar aate rahe...
Kinhen rokna tha aur kya paaya humne,
Ussi pyaar ko bhoolna tha jisse badaaya humne..
Aug 28, 2012

Woh duniya ko apnaane chale hain,
apnon se mooh modkar chale hain,
Gaeron se gar woh kuch paa bhi lete hain
Agle hi din unhen hi thukraate nikal jaate hain
Sept 4, 2012

Har lamha agar aap ki pasand badalti rahi,
To rishte kaise bane humaare maujon se...
Kisi ek ke saath jud-ke dukh-dard baantna achcha hai
Dar-badar hoke koi apna ghar nahin bana sakta...
Sept 3, 2012

Aaj ka chaand kuch kehne sunne waala tha lekin
Ab chaand ko baarish ne chupa diya,
Ab kaise zaahir hon khwaaishon,
Aansoonon ne dooba diya hai unhen..
Is chaandraat kuch kehna tha aapse,
Chalo usse bhi chupa dete hain
Baarish ki wahaj se...
August 31, 2012

Sab kamre apna naseeb le aate hain,
Koi badnaseeb kamre sajaate raho, sawaanrte raho
Reh hi jaate hain woh soone soone
Yahaan to kaayde se hai ek baat,
Darwaaza bund karke duniya rukti nahin,
sirf dabe paanv choddh jaati hai...
August 27, 2012

Jaate jaate ek bemisaal tohfa de gayi,
Ek gehra rishta banake chali gayi,
Kaala andhera kareebi dost hai mera,
Roshni, shukriya to adaa karoon tera..
August 25, 2012.

Tamanna thi ke tumhaare saath waqt ki sui ruk jaati,
Kabhi woh kharchi bhi intefaaqan mil hi jaati...
August 23, 2012

Ye meri kavita hai, iske zariye mujhe salaam to kijiye
Jaise maa bachchon ka hausla badhaati rehti hai
Jaise teacher class mein unhen star deti rehti hai
Main kavi hoon, mujhe dar dar thokre khaana manzoor hai
Dil ko lekin thes pahunchti hai jab aap nishabd guzar jaate hain
Aug 13, 2012

Nasamajh hum bewajah hi mila karte the hum doston se
Baazaar rishton se bhi sajte hain ye ilm na tha,
Duniya ke kaayde kaanoon bahut hain, ae dost,
Waakif inse jo hona tha, doston ne kaam kar diya.
July 3, 2012

 The Descent
Every love leads me to love less,
I keep descending,
Seeing the heap of despair lying at my front-door,
I laugh at those those love more.
June 5, 2012

Ab to girte girte sambhal gaye hain
mushkil se saans ke sambhaala hai,
Kaise hum ne pal pal guzaare the
Kaise andheron se nikle
Ab aawaaz na dena mujhe
Ab thode se phool aangan mein ab bhi khilte hain,
Ab baadal phoolon se duur chale gaye hain
Ab aawaaz na dena mujhe
Chaen se saans lene dena mujhe
Ab pyaar hai to chhod do mujhe....
June 7, 2012

Wednesday, July 4, 2012

Aaj Bahut Dukh Dekha Humne

Nov 26, 2011
Aaj bahut dukh dekhe humne
doosron ke sukh aur sapne dekhe,

Pehle to intezaar hi na tha khushi ka
Lekin phir unki fitrat mein pyaar dekha humne

Sunte hain woh aate-jaate hain mehfilon mein
Chhoda humare liye dard, aansoo
Inke siva kuch nahin dekha humne

Kuch baatein yaad aati hain, unke khatt dekh kar
Jo likhi thi kavitaayein unhi ke aangan mein
Pehle kyun nahin dekha ye sach humne...

Monday, June 4, 2012

May-June 2012

Ab Nahin


Pyaar tha, ab nahin

Inkaar tha, ab nahin.


Zillat thi, ab nahin.


Raunak thi, ab nahin.


Mazaak tha, ab nahin.


Daag tha, kab nahin.


Phool the, ab nahin.


Veeraana tha, ab nahin.


Phool hain, ab yahin.


Kante the, ab nahin.


Divali thi, ab yahin.


Maatam tha, ab nahin.


Ghazal hai, ab yahin.


Shor tha, ab nahin

Hum the, ab nahin.


Main thi, ab bhi yahin

May 16, 2012


---

Jaane Do

Jaane do, un sab baaton ko jaane do,

Woh pyaar ke nagme, woh raaton ke afsaane,

Jaane do, un sab baaton ko jaane do...


Kab hum mile, kab hum bichde,


Jaane do, un sab baaton ko jaane do...

Kis din hum dost the, kis din pyaar bane,

Jaane do un sab baaton ko jaane do...


Kaise hum ek rang ke libaaz pehente the,

Jaane do un sab baaton ko jaane do...

Kaise hanste, kaise jagadhte,

Jaane do, un sab baaton ko jaane do...



Ab wo khat, wo kavitaayein sab kal hain,

Jaane do, un sab baaton ko jaane do...

Kya yaadein humari, kya sapne humare,

Jaane do, un sab baaton ko jaane do....


Kaun kiska tha, kaun na apna saka,

Jaane do, un sab baaton ko jaane do,

Ek bahaar thi uske saath ek saawan tha,

Ek subah thi uske saath ek shyam thi,

Jaane do, un sab baaton ko jaane do...



May 19, 2012


---


Zaroorat waali chaahat vyapaar hai, pyaar nahin, 

Majboori waali chaahat jism hai, dil nahin...

Chaahat woh jo len-den se oonchi ho, 

Chaahat woh jo jism pe hansti ho, 

Chaahat cheez hai aisi aye dost, 

Rishte dekhti hai dil ke woh

Rishte banaati hai rooh se woh...



Kisi ko majboor karna, zarooratmand banaana, 

Ye to kamzori hai, taakat ki shakl nahin, 

Chaahat agar kamzor banati hai

Samajh lo wo dono ko giraati hai...



Lata Jagtiani
May 23, 2012

---

Dardbhare nagme sunke zindagi guzaar di maine,

Kitne saawan aake chale gaye intezaar mein tere...

Lata Jagtiani
May 23, 2012

==

Moving On. 

Lata Jagtiani

I wept and I wept 

The broken shards of my cup

With butterflies and hearts and trees

Had dropped to the floor 

Then someone entered 

Saw my tears and wondered

And in that unguarded moment

Stepped on the broken pieces

Breaking them the more.


I turned and left 

Cried alone, 

And then returned there

Where the powder lay

And stepped on it hard

Turned my spiked heel on it,

It was done. 

We were the same now, 

My face too, ash grey.


May 27, 2012

==

Sunday, May 27, 2012

27 May- June 2012

Moving On. 

Lata Jagtiani

I wept and I wept 
The broken shards of my cup
With butterflies and hearts and trees
Had dropped to the floor
Then someone entered
Saw my tears and wondered
And in that unguarded moment
Stepped on the broken pieces
Breaking them the more.
I turned and left
Cried alone,
And then returned there
Where the powder lay
And stepped on it hard
Turned my spiked heel on it,
It was done.
We were the same now,
My face too, ash grey.

May 27, 2012

Thursday, May 10, 2012

April May 2012

Mere ghar ka raasta 

Mere Ghar Ka Raasta kathin nahin

Duur se aawaaz aati to hogi, 

Thandi sadak se guzar kar jaaiye,

Aagey kahin baarish bhi hogi...


Lata Jagtiani

Mar 31, 2012

----


Listen, Listen


Listen, my heart, listen,
Listen to my trembling,
Listen to my lowered eyes,
Listen to my shaking fingers,
Listen to my flying hair,
Listen to my tension, 
Listen, my heart, listen,
Listen to my silence, listen.

Lata Jagtiani
April 1, 2012

---
AGAR
Agar ye pyaar hai to nafrat kya hogi
Agar ye ishq hai to berukhi kya hogi
Agar ye milan hai to judaai kya hogi
Agar ye bahar hai to khizaa kya hogi 
Agar ye zindagi hai to maut kya hog...

Lata Jagtiani
April 3, 2012

--
Sannaata

Is sannate ko kaise mitaaon
Is yaad ko kaise bhulaaon

kaagaz pe likhe hui yaadein paani mein doob gayee
Har yaad man mein ubhar ke sannate badhaati hai

Us sannate ko kaise mitaaon...
Us bewafaa ko kaise bhulaaon...

Lata Jagtiani
April 4, 2012

--
GHAR

Ye bhi mera ghar hai, Woh bhi mera ghar hai,
Pyaari saheli ne naam apne ghar ko mere kitaab ka naam diya,
Maine apne toote hue ghar ko lal phoolon se bhi sanwaara,
Kahin koi dost, kahin koi maa, mujhe pukaarte hain,
Phir bhi ek aawaaz dheeme se aati rehti hai,
Ye tera ghar kaise hai, woh bhi tera ghar nahin,
Jo tera ghar hai ab tak tu ne dekha nahin...

Lata Jagtiani
April 11, 2012

---
Miles Apart

When I am away from you I feel so close to you
When we are together I feel you are a stranger
Is there something in the silence between us
That hides out of fear when we sit across
Is there something in the noise between us
That disappears when we are apart
I long for us to be completely together
And yet know in my heart
We will always be in some way
Miles apart.

Lata Jagtiani
April 13, 2012
--

Khudh ko to aaine mein dekho
Kitne badsoorat ho tum 
Jab kisi ke pyaar ka maazaak udaate ho...
Lata Jagtiani
April 22, 2012

--
Mohabbat ki kasmein khaanewaale,
Kya tumhein ye raaste hain jaane-pehchaane,
Na ma, na baap, no dost, na darwaaza,
Ik kinaara samundar ka bus hoga sahaara... 
Ek-do ko sirf milti hain bahaarein,
Dard mein doobe sainkdon hain deewane...
Mohabbat ki kasmein khaanewaale,
Kahaan samjhe tarike nibhaanewaale.

Lata Jagtiani
April 22, 2012

--

RET KI DEEWAAR


Ret ki deewaar sahaara hai uske peeche,

Roti maa ke aansoo yaad nahin usse,

Kaise koi roke sambhalna to aata nahin,

Kis darwaaze se pesh kare koi apni arzi...

Dushmano ke sang hanste chale, 

Doston se duur chalte gaye, chalte gaye... 

Koi bhai, koi aurat pukaarke thak chuke,

Aakhir neend se jo na uthna chaahe to kya kijiye...

Lata Jagtiani

April 23, 2012

---
Dosti


Dosti khareedoge to dost khareedaar milenge,

Dost se vafaadaari karoge, sachche dost paaoge,
Biknewaali cheez agar nahin tumhein banna hai to, 
Ek sach hai ye, maano ke na maano.

Pyaar aur dosti koi dhandaa aur vyaapaari nahin,
Pyaar se hi gehre bandhan bante hain, 
Uske saath Unke raasta milte hain,
Kuch sachaiyaan tum maano ya na maano.

Lata Jagtiani
Apr 30, 2012

--
Dhoop mein to nikal pade the,
Chaaon pipal ki talaash mein,
Khoj mein dekhe aise zamaane,
Laute ghar dhoop ko apnaane.

Lata Jagtiani
April 30, 2012

--
Ek Asha thi wo buj gayee
Ek niraashi si chaa gayee,
Ek sapna tha, toot gaya
Karvi sachaaee reh gayee...

LJ
April 30 

--
Us chaaon se kya matlab jo andhere se rishta rakhta ho,
Us dhoop se kya darna jo bimaari ka ilaaj ho...
Lata Jagtiani
May 1, 2012

--
Pasandi se har rishta shuru hota hai,
Kaise har cheez mein rang nazar aata hai,
Aakhir jab dil tootne lagta hai,
Kyun har rang kaala ho jaata hai

Lata Jagtiani
May 1, 2012

---
 Kyun kisi pe itna aitbaar karte ho,
Aage aag hai, yaad to karte raho,
Kinare nahin hain yahaan milte, 
Is nadi mein kayee dhoobe, 
Behek-behek ke...

Lata Jagtiani
May 1, 2012
---

Ek dhua tha, aag bujhte gaayab hua,
Ek wehem tha, aaya aur phir chala gaya,
Paani to behta hai, ye ruke kaise,
Vafa, vishwaas, shabd ye kaise kaise...

Lata Jagtiani
May 08, 2012

---
Woh to hum the ke koshishein karte rahe,
Waqt be-waqt salaami dete rahe,
Zamaane ko pyaar sasta laga itna,
Har waqt thokkar maar nikalte rahe.

Lata Jagtiani
May 10, 2012

--

Wajood apna khote hain
Jab ishq ke saamne hote hain.

Lata Jagtiani
May 10, 2012

---

Peepal

Kahaani shuru bhi na huyee, khatam ho gayee,
Ab andhere chhaa gaye jaise bijli tham gayee,
Do pal ka hansna gaana woh sab chhoott gaya,
Saazish aur fareb aakhir kaise chalta...

Toofan se mitt jaate na jhukte agar paude,
Humein aadat hai, seedhe hain, nahin jhukte,
Peepal ki jaddein nahin, aansoo-on ki taarein hain ye,
Dekho, pakkad rakha hai zameen ko kaise rote-rote...

Lata Jagtiani
May 14, 2012

--


Khaali haath se maangi duaayein tere liye
Chhod ke jab chali aansoon peeye
Khaali haath se main chali phir se
Darwaaze Unke hain, hausle mere....

Lata Jagtiani
May 15, 2012

--




Sunday, February 26, 2012

Aawaaz

Aawaaz mein kuch badal jaata hai,

Bahut roka, nahin sambhalaa jaata hai,

Aap se judaa koi sawaal humse jab poochta hai,

Mere galey mein paani kyun sook jaata hai...

Lata Jagtiani
Feb 26, 2012

Saturday, February 25, 2012

Misc Poems Nov-Jan 2011-2012


Kashmakash

Lata Jagtiani

Jab main aagey jaati hoon

Peeche se aawaaz aati hai,

Kya woh sab jhooth tha,

Kuch aur nahin ek fareb tha,

Dokha dene waali aankhein tumhaari,

Aaj wohi hua jiska mujhe darr tha...


Peechey jaate huae main

Sunti hoon aawaaz man ki,

Kya dukh mein jeena pasand hai,

Roz pyaasa rehna koi chaahat hai,

Apne andar sawaal jo uthte hain,

Pehle unke jawaab to de do...


Aise hi jeevan guzarta hai,

Kabhi na hai, to kabhi haan hai...

Kabhi dil hai to kabhi rooh hai,

Na tumhein kabhi main chhodti hoon,

Na apne aapse wafaa karti hoon...

Jan 17, 2012

===

Baahon mein aake jab tumhaari ho gayee,

Patta nahin kyun mujhe bahut ronaa aaya...

Ek khayaal khauf ka aaya aise

Ek ehsaas dukh ka hota jaise,

Socha kya ho agar ye pal phir na aaye,

Aise lagaa ke main maut ke saamne khadi,

Tumhaari baahon mein dheeme se rett bunti gayee.

Jan 15, 2012


===
Shuruaat humne bahut dil se ki hai,

Aap ko pyaar se bulaaya bhi hai,

Aap ke pasand ke jhumke pehne hain,

Paayal chaandi ki bhi baand rakhi hain,

Koshish to har tarah se zaari hai,

Ho sakta hai meri nahin to kaanon tak

Inhi ki aawaaz aap ko pahunch jaaye

Bataa hi de aap ko,

is thand ke mausam mein,

January 8 at 8:58pm

===
Bahut dil se shuruaat humne ki hai,

Aap ko pyaar se bulaaya bhi hai,

Jhumke aap ke pasand ke pehne hain,

Pyaari paayal bhi baande rakhi hai,

Shaayad meri nahin to aapke kaanon tak

Inhi ki guzaarish pahunch jaaye,

Khanakte huae aap ko bataa hi de,

is barfeeley thand ke mausam mein,

Koi bechaen aap ke intezaar mein

Jalaata hai intezaar ke diye...

January 9 at 1:01pm

===

Kuch bhi to nahin...

Lata Jagtiani


Ab koi intezaar bhi nahin,

Shikwe jo the, ab woh bhi nahin,

Aap ko bhoolne ki koshish bhi nahin,

Aap ke raaste mein main bhi nahin,

Ikraar-e-mohabbat aap ka bhi nahin,

Naaraazgi ke bahaane mere bhi nahin,

Mujhe koi gilae ya ghum bhi nahin,

Mere aangan mein sookhey patton ki kammi bhi nahin...

---
version one...
Kuch bhi to nahin...

Lata Jagtiani

Ab koi intezaar bhi nahin,

Shikwe the, woh ab nahin

Aap ko bhoolne ki koshish bhi nahin,

Aap ke raaste mein main bhi nahin,

Ikraar pyaar ka aap ka bhi nahin,

Naaraazgi ke mere bahaane bhi nahin,

Ab mujhe koi ghum nahin,

Mere paas sookhey patton ki koi kammi nahin...
· · · December 21, 2011 at 6:50pm

---

version 3:
Kuch bhi to nahin...

Lata Jagtiani

Ab koi intezaar ki haar bhi nahin,

Shikwe jo the, ab woh bhi nahin.


Aap ko bhoolne ki koshish bhi nahin,

Bahaane naaraazgi ke, ab woh bhi nahin.


Ikraar-e-mohabbat aap ka bhi nahin,

Raaste mein patthar, ab main bhi nahin.


Ab koi gilae, ya ghum bhi nahin,

Aangan mein sookhe pattey kum bhi nahin...


---



Us naam mein kya kya likha hai,

us muskaan ne kya kya maanga hai,

un aankhon ke dekhne se main pigal gayee,

main jo barf hoon, kabhi baaton mein aati nahin...


LJ...Dec 21, 2011


---
Milne se kya haasil hota hai,

Ye jism ki baatein nahin...

Waqt se unhein bhool jaate hain

Jinhein andaaz hain, mohabbat nahin...

Lata Jagtiani
· · · December 19, 2011 at 7:32pm

---

Chupaane se kya baat dabb jaati hai,

Rukne se kya raaste badal jaate hain...

Lata jagtiani
December 19, 2011 at 7:29pm


===
Unke khat padh kar aap ko yaad kiya,

Agar aap kuch likhte to aise hi likhte,

'Kya tum mujhe yaad karti ho,

Mera to burra haal hai ajnabi sheher mein,

Main har raaste se chalte yehi sochta hoon,

Kaash tumhaara ghar aa jaaye...

Kaash tum us darwaaze se nikal aati

Aur hans ke aankhon se pilaati..
.

Kya tum bhi mujhe aise yaad karti ho,

Ya mera intezaar kabse bhool chuki ho..'

Unke khat mein aap ke nishaan hain,

Shayad pyaar karnewaalon ki ek hi zubaan hai..


Lata Jagtiani
· · · December 15, 2011 at 4:13pm

---
Lata Jagtiani
My lake
My tree
My mayna
My sea
My sky
My eye
My fruit
Solitude
My smile
My time
My friend
My pen
My book
My luv
My cloud
My doubt
My breeze
My sheets
My drink
My think
My bed
My quilt
My touch
My song
My poem
Little long...

Lata Jagtiani, "My Song Little Long."
· · · November 17, 2011 at 12:52pm