Thursday, May 10, 2012

April May 2012

Mere ghar ka raasta 

Mere Ghar Ka Raasta kathin nahin

Duur se aawaaz aati to hogi, 

Thandi sadak se guzar kar jaaiye,

Aagey kahin baarish bhi hogi...


Lata Jagtiani

Mar 31, 2012

----


Listen, Listen


Listen, my heart, listen,
Listen to my trembling,
Listen to my lowered eyes,
Listen to my shaking fingers,
Listen to my flying hair,
Listen to my tension, 
Listen, my heart, listen,
Listen to my silence, listen.

Lata Jagtiani
April 1, 2012

---
AGAR
Agar ye pyaar hai to nafrat kya hogi
Agar ye ishq hai to berukhi kya hogi
Agar ye milan hai to judaai kya hogi
Agar ye bahar hai to khizaa kya hogi 
Agar ye zindagi hai to maut kya hog...

Lata Jagtiani
April 3, 2012

--
Sannaata

Is sannate ko kaise mitaaon
Is yaad ko kaise bhulaaon

kaagaz pe likhe hui yaadein paani mein doob gayee
Har yaad man mein ubhar ke sannate badhaati hai

Us sannate ko kaise mitaaon...
Us bewafaa ko kaise bhulaaon...

Lata Jagtiani
April 4, 2012

--
GHAR

Ye bhi mera ghar hai, Woh bhi mera ghar hai,
Pyaari saheli ne naam apne ghar ko mere kitaab ka naam diya,
Maine apne toote hue ghar ko lal phoolon se bhi sanwaara,
Kahin koi dost, kahin koi maa, mujhe pukaarte hain,
Phir bhi ek aawaaz dheeme se aati rehti hai,
Ye tera ghar kaise hai, woh bhi tera ghar nahin,
Jo tera ghar hai ab tak tu ne dekha nahin...

Lata Jagtiani
April 11, 2012

---
Miles Apart

When I am away from you I feel so close to you
When we are together I feel you are a stranger
Is there something in the silence between us
That hides out of fear when we sit across
Is there something in the noise between us
That disappears when we are apart
I long for us to be completely together
And yet know in my heart
We will always be in some way
Miles apart.

Lata Jagtiani
April 13, 2012
--

Khudh ko to aaine mein dekho
Kitne badsoorat ho tum 
Jab kisi ke pyaar ka maazaak udaate ho...
Lata Jagtiani
April 22, 2012

--
Mohabbat ki kasmein khaanewaale,
Kya tumhein ye raaste hain jaane-pehchaane,
Na ma, na baap, no dost, na darwaaza,
Ik kinaara samundar ka bus hoga sahaara... 
Ek-do ko sirf milti hain bahaarein,
Dard mein doobe sainkdon hain deewane...
Mohabbat ki kasmein khaanewaale,
Kahaan samjhe tarike nibhaanewaale.

Lata Jagtiani
April 22, 2012

--

RET KI DEEWAAR


Ret ki deewaar sahaara hai uske peeche,

Roti maa ke aansoo yaad nahin usse,

Kaise koi roke sambhalna to aata nahin,

Kis darwaaze se pesh kare koi apni arzi...

Dushmano ke sang hanste chale, 

Doston se duur chalte gaye, chalte gaye... 

Koi bhai, koi aurat pukaarke thak chuke,

Aakhir neend se jo na uthna chaahe to kya kijiye...

Lata Jagtiani

April 23, 2012

---
Dosti


Dosti khareedoge to dost khareedaar milenge,

Dost se vafaadaari karoge, sachche dost paaoge,
Biknewaali cheez agar nahin tumhein banna hai to, 
Ek sach hai ye, maano ke na maano.

Pyaar aur dosti koi dhandaa aur vyaapaari nahin,
Pyaar se hi gehre bandhan bante hain, 
Uske saath Unke raasta milte hain,
Kuch sachaiyaan tum maano ya na maano.

Lata Jagtiani
Apr 30, 2012

--
Dhoop mein to nikal pade the,
Chaaon pipal ki talaash mein,
Khoj mein dekhe aise zamaane,
Laute ghar dhoop ko apnaane.

Lata Jagtiani
April 30, 2012

--
Ek Asha thi wo buj gayee
Ek niraashi si chaa gayee,
Ek sapna tha, toot gaya
Karvi sachaaee reh gayee...

LJ
April 30 

--
Us chaaon se kya matlab jo andhere se rishta rakhta ho,
Us dhoop se kya darna jo bimaari ka ilaaj ho...
Lata Jagtiani
May 1, 2012

--
Pasandi se har rishta shuru hota hai,
Kaise har cheez mein rang nazar aata hai,
Aakhir jab dil tootne lagta hai,
Kyun har rang kaala ho jaata hai

Lata Jagtiani
May 1, 2012

---
 Kyun kisi pe itna aitbaar karte ho,
Aage aag hai, yaad to karte raho,
Kinare nahin hain yahaan milte, 
Is nadi mein kayee dhoobe, 
Behek-behek ke...

Lata Jagtiani
May 1, 2012
---

Ek dhua tha, aag bujhte gaayab hua,
Ek wehem tha, aaya aur phir chala gaya,
Paani to behta hai, ye ruke kaise,
Vafa, vishwaas, shabd ye kaise kaise...

Lata Jagtiani
May 08, 2012

---
Woh to hum the ke koshishein karte rahe,
Waqt be-waqt salaami dete rahe,
Zamaane ko pyaar sasta laga itna,
Har waqt thokkar maar nikalte rahe.

Lata Jagtiani
May 10, 2012

--

Wajood apna khote hain
Jab ishq ke saamne hote hain.

Lata Jagtiani
May 10, 2012

---

Peepal

Kahaani shuru bhi na huyee, khatam ho gayee,
Ab andhere chhaa gaye jaise bijli tham gayee,
Do pal ka hansna gaana woh sab chhoott gaya,
Saazish aur fareb aakhir kaise chalta...

Toofan se mitt jaate na jhukte agar paude,
Humein aadat hai, seedhe hain, nahin jhukte,
Peepal ki jaddein nahin, aansoo-on ki taarein hain ye,
Dekho, pakkad rakha hai zameen ko kaise rote-rote...

Lata Jagtiani
May 14, 2012

--


Khaali haath se maangi duaayein tere liye
Chhod ke jab chali aansoon peeye
Khaali haath se main chali phir se
Darwaaze Unke hain, hausle mere....

Lata Jagtiani
May 15, 2012

--




No comments: