Tuesday, September 4, 2012

Aug-Sep 2012

Poems Aug-Sep 2012
Lata Jagtiani

Woh ruk bhi jaayen to kya khaakh mil jaata hai
Jab unke khayaalon mein to gaer rehta hai
Raat-bhar woh unhein yaad karte rahen
Humen unke aansoo nazar aate rahe...
Kinhen rokna tha aur kya paaya humne,
Ussi pyaar ko bhoolna tha jisse badaaya humne..
Aug 28, 2012

Woh duniya ko apnaane chale hain,
apnon se mooh modkar chale hain,
Gaeron se gar woh kuch paa bhi lete hain
Agle hi din unhen hi thukraate nikal jaate hain
Sept 4, 2012

Har lamha agar aap ki pasand badalti rahi,
To rishte kaise bane humaare maujon se...
Kisi ek ke saath jud-ke dukh-dard baantna achcha hai
Dar-badar hoke koi apna ghar nahin bana sakta...
Sept 3, 2012

Aaj ka chaand kuch kehne sunne waala tha lekin
Ab chaand ko baarish ne chupa diya,
Ab kaise zaahir hon khwaaishon,
Aansoonon ne dooba diya hai unhen..
Is chaandraat kuch kehna tha aapse,
Chalo usse bhi chupa dete hain
Baarish ki wahaj se...
August 31, 2012

Sab kamre apna naseeb le aate hain,
Koi badnaseeb kamre sajaate raho, sawaanrte raho
Reh hi jaate hain woh soone soone
Yahaan to kaayde se hai ek baat,
Darwaaza bund karke duniya rukti nahin,
sirf dabe paanv choddh jaati hai...
August 27, 2012

Jaate jaate ek bemisaal tohfa de gayi,
Ek gehra rishta banake chali gayi,
Kaala andhera kareebi dost hai mera,
Roshni, shukriya to adaa karoon tera..
August 25, 2012.

Tamanna thi ke tumhaare saath waqt ki sui ruk jaati,
Kabhi woh kharchi bhi intefaaqan mil hi jaati...
August 23, 2012

Ye meri kavita hai, iske zariye mujhe salaam to kijiye
Jaise maa bachchon ka hausla badhaati rehti hai
Jaise teacher class mein unhen star deti rehti hai
Main kavi hoon, mujhe dar dar thokre khaana manzoor hai
Dil ko lekin thes pahunchti hai jab aap nishabd guzar jaate hain
Aug 13, 2012

Nasamajh hum bewajah hi mila karte the hum doston se
Baazaar rishton se bhi sajte hain ye ilm na tha,
Duniya ke kaayde kaanoon bahut hain, ae dost,
Waakif inse jo hona tha, doston ne kaam kar diya.
July 3, 2012

 The Descent
Every love leads me to love less,
I keep descending,
Seeing the heap of despair lying at my front-door,
I laugh at those those love more.
June 5, 2012

Ab to girte girte sambhal gaye hain
mushkil se saans ke sambhaala hai,
Kaise hum ne pal pal guzaare the
Kaise andheron se nikle
Ab aawaaz na dena mujhe
Ab thode se phool aangan mein ab bhi khilte hain,
Ab baadal phoolon se duur chale gaye hain
Ab aawaaz na dena mujhe
Chaen se saans lene dena mujhe
Ab pyaar hai to chhod do mujhe....
June 7, 2012

No comments:

Post a Comment