Saturday, February 25, 2012

Misc Poems Nov-Jan 2011-2012


Kashmakash

Lata Jagtiani

Jab main aagey jaati hoon

Peeche se aawaaz aati hai,

Kya woh sab jhooth tha,

Kuch aur nahin ek fareb tha,

Dokha dene waali aankhein tumhaari,

Aaj wohi hua jiska mujhe darr tha...


Peechey jaate huae main

Sunti hoon aawaaz man ki,

Kya dukh mein jeena pasand hai,

Roz pyaasa rehna koi chaahat hai,

Apne andar sawaal jo uthte hain,

Pehle unke jawaab to de do...


Aise hi jeevan guzarta hai,

Kabhi na hai, to kabhi haan hai...

Kabhi dil hai to kabhi rooh hai,

Na tumhein kabhi main chhodti hoon,

Na apne aapse wafaa karti hoon...

Jan 17, 2012

===

Baahon mein aake jab tumhaari ho gayee,

Patta nahin kyun mujhe bahut ronaa aaya...

Ek khayaal khauf ka aaya aise

Ek ehsaas dukh ka hota jaise,

Socha kya ho agar ye pal phir na aaye,

Aise lagaa ke main maut ke saamne khadi,

Tumhaari baahon mein dheeme se rett bunti gayee.

Jan 15, 2012


===
Shuruaat humne bahut dil se ki hai,

Aap ko pyaar se bulaaya bhi hai,

Aap ke pasand ke jhumke pehne hain,

Paayal chaandi ki bhi baand rakhi hain,

Koshish to har tarah se zaari hai,

Ho sakta hai meri nahin to kaanon tak

Inhi ki aawaaz aap ko pahunch jaaye

Bataa hi de aap ko,

is thand ke mausam mein,

January 8 at 8:58pm

===
Bahut dil se shuruaat humne ki hai,

Aap ko pyaar se bulaaya bhi hai,

Jhumke aap ke pasand ke pehne hain,

Pyaari paayal bhi baande rakhi hai,

Shaayad meri nahin to aapke kaanon tak

Inhi ki guzaarish pahunch jaaye,

Khanakte huae aap ko bataa hi de,

is barfeeley thand ke mausam mein,

Koi bechaen aap ke intezaar mein

Jalaata hai intezaar ke diye...

January 9 at 1:01pm

===

Kuch bhi to nahin...

Lata Jagtiani


Ab koi intezaar bhi nahin,

Shikwe jo the, ab woh bhi nahin,

Aap ko bhoolne ki koshish bhi nahin,

Aap ke raaste mein main bhi nahin,

Ikraar-e-mohabbat aap ka bhi nahin,

Naaraazgi ke bahaane mere bhi nahin,

Mujhe koi gilae ya ghum bhi nahin,

Mere aangan mein sookhey patton ki kammi bhi nahin...

---
version one...
Kuch bhi to nahin...

Lata Jagtiani

Ab koi intezaar bhi nahin,

Shikwe the, woh ab nahin

Aap ko bhoolne ki koshish bhi nahin,

Aap ke raaste mein main bhi nahin,

Ikraar pyaar ka aap ka bhi nahin,

Naaraazgi ke mere bahaane bhi nahin,

Ab mujhe koi ghum nahin,

Mere paas sookhey patton ki koi kammi nahin...
· · · December 21, 2011 at 6:50pm

---

version 3:
Kuch bhi to nahin...

Lata Jagtiani

Ab koi intezaar ki haar bhi nahin,

Shikwe jo the, ab woh bhi nahin.


Aap ko bhoolne ki koshish bhi nahin,

Bahaane naaraazgi ke, ab woh bhi nahin.


Ikraar-e-mohabbat aap ka bhi nahin,

Raaste mein patthar, ab main bhi nahin.


Ab koi gilae, ya ghum bhi nahin,

Aangan mein sookhe pattey kum bhi nahin...


---



Us naam mein kya kya likha hai,

us muskaan ne kya kya maanga hai,

un aankhon ke dekhne se main pigal gayee,

main jo barf hoon, kabhi baaton mein aati nahin...


LJ...Dec 21, 2011


---
Milne se kya haasil hota hai,

Ye jism ki baatein nahin...

Waqt se unhein bhool jaate hain

Jinhein andaaz hain, mohabbat nahin...

Lata Jagtiani
· · · December 19, 2011 at 7:32pm

---

Chupaane se kya baat dabb jaati hai,

Rukne se kya raaste badal jaate hain...

Lata jagtiani
December 19, 2011 at 7:29pm


===
Unke khat padh kar aap ko yaad kiya,

Agar aap kuch likhte to aise hi likhte,

'Kya tum mujhe yaad karti ho,

Mera to burra haal hai ajnabi sheher mein,

Main har raaste se chalte yehi sochta hoon,

Kaash tumhaara ghar aa jaaye...

Kaash tum us darwaaze se nikal aati

Aur hans ke aankhon se pilaati..
.

Kya tum bhi mujhe aise yaad karti ho,

Ya mera intezaar kabse bhool chuki ho..'

Unke khat mein aap ke nishaan hain,

Shayad pyaar karnewaalon ki ek hi zubaan hai..


Lata Jagtiani
· · · December 15, 2011 at 4:13pm

---
Lata Jagtiani
My lake
My tree
My mayna
My sea
My sky
My eye
My fruit
Solitude
My smile
My time
My friend
My pen
My book
My luv
My cloud
My doubt
My breeze
My sheets
My drink
My think
My bed
My quilt
My touch
My song
My poem
Little long...

Lata Jagtiani, "My Song Little Long."
· · · November 17, 2011 at 12:52pm

No comments:

Post a Comment