The storm is coming
And I have prepared myself
I have closed all the windows
Locked my doors
Worn my non-tear clothes
Covered my heart with a crossed coat
Protected my head with a hard-hat.
The storm is coming
Yet these will all get blown over
Nothing can withstand the storm
That hits with its silent force.
The storm will return
And I fear being swept away
Despite my readiness,
Yet again...
Lata Jagtiani
February 24, 2012
---
Agar humare bas ki baat hoti
To kya hum unse dil lagaate...
Ye kahaan se aati hain hawein
Ye kahaan le jaati hain taqdeerein...
Feb 25, 2012
==
Kisike jazbaat se mat khela karo,
Aise bhi log hain jo bikhar jaate hain...
Gar zabaan se nahin karte ikraar
Aankho se bhi wohi bayaan kiya karo...
Feb 25, 2012
---
agar woh koi patthar hain to hum heera bun kar dikhlaayenge,
Unki nazar mein na sahi, apni nigaahon mein to uthte jaayege...
---
Humne samjha unki nigaahein sab hain
Ab samjhe humne khud ko giraana chaaha tha...
---
Mere chehre ko dekh kar poochte hain
"Aakhir is soorat mein rakhaa kya hai
Jaise doosron ke naak, kaan aankhein hoti hain
Waise hi tumhaare shakl mein dikhaa deta hai
Lekin phir bhi kuch mujhe pukaarta rehta hai
Kuch to un-kahe labz mujhe sunaaee dete hain
Kuch to baat hai tumhaare wajood mein
Jiske liye jaan dene ko raazi hoon..
.
Kuch to baat hai humaare rishte mein
Kuch to baat hai tumhaare wajood mein...."
Mere chehre ko dekh kar chup ho jaate hain
Main bhi sochti rehti hoon
Aakhir meri soorat mein rakhaa kya hai...
Lata Jagtiani
Feb 23, 2012
----
Waqt
Waqt ke nazron se aap girte rahey
Waqt ke nazron se aap girte rahey
Jab baadal aaye, aap peeche hatey
Pyaar ke ghar to aise nahin buntey
Ret se bunate ho mahal jhooth ke
Kya fayda ab kuch kehne ka
Ye to pehle hi sochna tha
Jazbaat se khelne mein khushi mili
Shaukse jhelo ab meri berukhee...
Lata Jagtiani
February 22, 2012
---
kabhi hum majboor the,
kabhi aap majboor hain,
jinhein gehre zhakm hote hain,
un ki to bebasee kuch aur hai...
----
(waqt sach aur jhooth ka imtihaan leta hai...sach aaj nahin to kal
patta chal jaata hai...aur jo sach ke saath nahin, uski waqt
izzat nahin karta...Time is personified here like Shahespeare personified
time in his sonnet let me not to the marriage of
true minds....Father Time is on the side of true love...)
---
Samjhe na hum dost ya dushman ko
Na samjhe hum ooperwaale ko
Nikal pade waise hi chaddar odhey
Doosron ki zindagi basaane ko...
Lata Jagtiani
Feb 20, 2012
----
Koi Kaise Samjhe
Jism ka mel to bahut duur raha
Jism ka mel to bahut duur raha
Mubaarak kabhi haathon ka mel bhi nahin,
Zubaan se sher pesh karte rahe
Man se man hi ka mel dekha maine
Aisa bhi ik pyaar tha mera
Jo samjhe to koi kaise samjhe...
Baaton mein ullajhte gaye hum
Isharon se jaise qaid kiya ho tumne
Ab mere muskurahat ki wajeh tum the
Woh aankhon ka kaajal bhi tum hi bane
Aisa bhi ik pyaar tha mera
Jo samjhe to koi kaise samjhe...
Maine ek bhola sa shabd hi keh diya
Usi ko galat maana, bahane se,
Mujhe baaton mein giraftaar karke,
Kabhi behlaya, kabhi rulaya tumne,
Aisa bhi pyaar tha mera
Jo samjhe to koi kaise samjhe...
Har din ik naye nazm ke zariye
Kabhi pyaar kiya to kabhi dikkara tumne,
Main bewajah beech bawar mein aati gayi
Kabhi bahar kabhi bewafaa banaya tumne
Aisa bhi pyaar tha mera
Jo samjhe to koi kaise samjhe...
Mere har pal ka hisaab tumne apne paas rakha
Har roz takazaa laazim karte rahe
Kabhi apnon se kabhi doston se poochte rahe
Koi kasar nahin chhodi tumne
Aisa bhi pyaar tha mera
Jo samjhe to koi kaise samjhe...
Aadhi raat ko dilne jab jagaya mujhe
Tumhare charagh bhi jalte dekhe
Patta nahin kaun zyaada beqaraar tha
Kisne kisse jagaaya tha--maine ya tumne...
Aisa bhi pyaar tha mera
Jo samjhe to koi kaise samjhe...
Lata Jagtiani
Feb 17, 2012
---
subah aayee, shyam dhali,
Raatein bhi aati rahi,
Dono ke intezaar mein zindagi guzri,
Na tum aaye na tumhari yaad gayi...
Feb 16, 2012
---
Hum hi ne apne ghar ko jalayaa tha
Pyaar vyaapaar ki pehchaan na thi...
Jo shaks apnon se katrate rahe
Hum naadani mein unhein apnaane chale.
Lata Jagtiani
16 Feb 2012
---
Waise to logon ka jawaab nahin
Baat apni manane ke liye
Kabhi haathon mein khanjar
ya kabhi bandook rakh dete hain...
Mujhe paas rakhne ka tareeka
aap ka to kuch lajawaab sa tha,
Mera khoon beh raha tha lekin
Aap ko haath apna deke apna liya...
Kuch aise bhi maasoom hote hain
Jinhein ghazal se qatl kiya jaata hai.
Lata Jagtiani
Feb 15, 2012
---
Ek rishta banaaya tha maine,
Dhoop, mitti aur paani ki kasar nahin di maine,
Kabhi maine uskey pattey thakkey huae dekhe
unhein pyaar de ke, apni bhi takat di thi maine...
Lekin kuch aise bhi rishte hote hain
Unhein zindagi se kuch manzoor nahin
Jitna bhi koi unhein sambhaale
Woh murjhate hi rehte hain...
LATA JAGTIANI
fEB 12, 2012
---
Kavita...
Aankhon se patti utaar-utaar kar
Dil mein dhadkan jagaa-jagaa kar
Woh tu hi hai jisne mujhe sawaara
Mujhe aadmi se insaan banaya...
Feb 8, 2012
---
No comments:
Post a Comment